iman ki laghzish ka imkan are tauba bad-chalni mein zahid ka chaalan are tauba uth kar teri chaukhat se hum aur chale jaen england are tauba japan are tauba hai god ke palon se ab khauf-e-dagha-bazi ye apne hi bhanjon par bohtan are tauba insanon ko din din bhar ab khana nahin milta muddat se farokash hain ramzan are tauba lillah khabar lije ab qalb-e-shikasta ki girta hai mohabbat ka dalan are tauba daman-e-taqaddus par daghon ki farawani ek maulwi ke ghar mein shaitan are tauba ab khairiyaten sar kari malum nahin hotin ganjon ko hai nakhun ka arman are tauba mashriq pe bhi nazren hain maghrib pe bhi nazren hain zalim ke takhayyul ki lamban are tauba ai 'shauq' na kuchh kahiye haalat dil-e-muztar ki hota hai masiha ko khafqan are tauba