idhar hum par bhi roz-o-shab giran hain tumhaare sath bhi majburiyan hain nazar aati nahin hain kam-nazar ko sarabon ke jigar mein naddiyan hain na samjho rah-zano hum ko akela hamare sath be-samaniyan hain kabhi hum rahraw-e-rah-e-wafa the magar ab sochte hain khud kahan hain dil-e-tanha hai ek viran jazira lahu ki har taraf maujen rawan hain koi kyunkar hamara bhed jaane ki khud hi raaz hain khud raaz-dan hain na pahunchega hamein dasht-e-tapida jo hain aatish-ba-pa shoala-ba-jaan hain 'shamim' izhaar-e-gham karne se hasil yahan tum se kise hamdardiyan hain