idhar ki aaegi ek rau udhar ki aaegi ki mere sath to mitti safar ki aaegi dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi na koi ja ke use dukh mere sunaega na kaam dosti ab shahr bhar ki aaegi abhi buland rakho yaro aakhiri mashal idhar to pahli kiran kya sahar ki aaegi kuchh aur mod guzarne ki der hai bani sada na gard kisi ham-safar ki aaegi