kya mila ai zindagi qanun-e-fitrat se mujhe kuchh mila haq bhi to baatil ki wisatat se mujhe mere malik main takabbur se nahin hun sar-buland sar jhuka itna hui nafrat itaat se mujhe main wo aashiq hun ki khud hi chumta hun apne hath kab bhala fursat mili apni raqabat se mujhe main wo tuta aaina hun aap apne samne jis mein haul aata hai khud apni hi surat se mujhe main wo patthar hun ki jis mein dudh ki nahren bhi hain tesha-e-farhad mat thukra hiqarat se mujhe main wo aalam hun ki har aalam hai mujh mein ham-kanar tu zara pahchan khud apni shabahat se mujhe khar-zar-e-dasht main hun aur tu sarw-e-chaman tu bhala kyun napta hai apne qamat se mujhe haif kis ke aage lafzon ke diye raushan kiye kitni ummiden hain andhon ki basarat se mujhe main kahan baithun ki sae bhi gurezan mujh se hain ab to diwaren bhi takti hain hiqarat se mujhe main gareban-chaak tariki mein kab tak munh chhupaun ab to sharm aane lagi apni nadamat se mujhe aati hain wahshat-sara-e-dil se aawazen ajab dekhte hain ab to virane bhi hairat se mujhe ab agar kuchh bhi nahin hota to shor-e-hashr ho kam nahin hai itna sannata qayamat se mujhe kaun nasir mera 'baqar' kis ko mera intizar ku-e-gum-nami mein hun kya kaam shohrat se mujhe