be-qarari ho magar phir bhi qarar aa jae wo palat kar bhi jo dekhe to bahaar aa jae guftugu aisi karo dil ko qarar aa jae jaise virane mein chupke se bahaar aa jae kyon nazar aae bhala aks-e-mohabbat us mein dil ke shishe pe agar gard-o-ghubar aa jae teri aankhon mein hai bangal ka jadu ab bhi tu jahan dekhe wahan tera shikar aa jae maut se darne ka mar jaega ehsas agar zindagi phir tere chehre pe nikhaar aa jae tum aqidat ki sharabon ka nasha kya jaano hum tasawwur bhi jo kar len to khumar aa jae phul se chehre pe thahre hue aansu 'shatir' koi dushman bhi agar dekhe to pyar aa jae