idhar se bhi to hawa-e-bahaar guzri hai kuchh ek bar nahin bar bar guzri hai gila nahin ye faqat arz-e-haal hai ai dost tere baghair bahut be-qarar guzri hai wahi to meri hayat-e-safar ki punji hai wo zindagi jo sar-e-rahguzar guzri hai qalam liye hue socha kiye ki kya likhen kuchh is tarah bhi shab-e-intizar guzri hai bhula sakenge na us ko qafas mein ai sayyaad wo do ghadi jo sar-e-shakh-sar guzri hai kabhi kabhi to meri bar-mahal khamoshi bhi unhen fughan ki tarah nagawar guzri hai huin jo dil se mere bad-gumaniyan un ko to shairi bhi meri nagawar guzri hai khizan mein bhi na kisi ki khuda kare guzre wo jis tarah meri fasl-e-bahaar guzri hai ubhar gai hai kahin par 'raza' jo talkhi-e-fikr mere mizaj-e-ghazal par wo bar guzri hai