usi ne pyar bakhsha aur usi ne bandagi bakhshi mere malik ne mujh ko is jahan ki har khushi bakhshi adibon se bhari mahfil mein aana tha kahan mumkin usi ne sher likhwae usi ne shairi bakhshi main sagar tha mujhe khara nahin rahne diya us ne ki lahraati si bal khati mohabbat ki nadi bakhshi andheron ke ghane sayon ka qabza tha tabhi rab ne rihai un se dilwai bashar ko raushni bakhshi khushi aur gham mein kya hai farq ye mahsus karne ko sabhi ko dil diya ek aur aankhon ko nami bakhshi teri kari-gari ke sab hain diwane mere maula sitare arsh ko bakhshe zamin ko zindagi bakhshi 'rajat' ki zist guzregi mohabbat ke bina kaise yahi socha tabhi to rab ne us ko dosti bakhshi