idhar to hum jaan kho rahe hain udhar wo ulfat se ro rahe hain kuduraten umr bhar ki dil se wo aaj ashkon mein dho rahe hain na baz rakh hum ko rone se tu giren jo ashkon ke dane bahattar ye kisht-e-hasrat mein apni hamdam umid ka tukhm bo rahe hain idhar taraqqi khayal ko hai udhar taraqqi jamal ko hai wahan to madd-e-nazar hai surma yahan tasawwur mein ro rahe hain jahan hua tifl koi paida kaha ye man ne abul-bashar ki meri bhi aaghosh hai kushada abas ye saman ho rahe hain kiya hai be-jurm qatl mujh ko hujum-e-aghyar-o-ashna mein aur is pe dekho dhitai ashkon se daman apna bhigo rahe hain na puchho kuchh masiyat ka aalam farishto hum kya ki tum ne bachte haqiqat is ki unhin se puchho sara-e-duniya mein jo rahe hain khabar visal-e-adu ki sun kar visal ke mani sochte hain unhin ko wan kuchh nahin hai shadi ki khush yahan hum bhi ho rahe hain gila abas un se kije 'aqil' kiya hai qismat ne un ko ghafil jo dar pe ja kar pukara main ne to bole kah do ki so rahe hain