meri rangin-kalami ka hai wo gul pairahan bais ki howe bulbulon ki khush-safiri ka chaman bais koi hota hai sang-e-sina khusraw se raqibon ka hua nahaq halak apne ka aapi kohkan bais jo hota hai kisi se uns sab se wahshat aati hai meri sahra-nashini ka hai mera man-haran bais 'hazin' un shoala-rukhsaron se ji ko mat laga hargiz hui aakhir ko parwane ke jalne ki lagan bais