idhar-udhar jo charagh tute pade hue hain salam un ko ye aandhiyon se lade hue hain dikha rahe hain hamein jo apna phula ke sina hamein pata hai ye kis ke bal par khade hue hain gale milane ki sulh ki ho pahal kidhar se abhi to donon hi apni zid par ade hue hain haqiqaten sab dabi hui hain unhi ke niche siyasi logon ne aise qisse ghade hue hain dikhai dene lage hain rishte tamam baune abhi to sahab kama ke daulat bade hue hain