tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai na nind raaton ko aa rahi hai na chain din ko hi aa raha hai ye ashk daman bhigo rahe hain ye aankhen suji hui hain meri main ek jalwe ki us ke talib magar wo parde gira raha hai tawaf-e-kaba ko dekh to le tadap raha hai wajud mera na panw ab mere uth rahe hain na samne ghar wo aa raha hai main ek majbur na-tawan si zaif bandi hun us se talib tamasha chup-chap dekhta hai kahan taras mujh pe kha raha hai tujhe usi ki qasam hai maula hai tujh ko mahbub do jahan mein wo apne jalwe dikha de mujh ko jo tu nazar se chhupa raha hai har ek tadbir be-asar hai na ji rahi hun na mar rahi hun junun-e-ishq-e-khuda hi logo ye haal mera bana raha hai