idhar ye zaban kuchh batati nahin hai udhar aankh kuchh bhi chhupati nahin hai pata hai rihai ki dushwariyan par ye qaid-e-qafas bhi to bhati nahin hai kami rah gai hogi kuchh to kashish mein sada laut kar yun hi aati nahin hai mujhe ras viraniyan aa gai hain teri yaad bhi ab satati nahin hai khafa hai karam-farma hai kaun jaane hawa jab diye ko bujhati nahin hai agar ho gae soch mein aap budhe to barish badan ko jalati nahin hai guman pyar ka ho raha tab se 'niraj' qasam jab se meri wo khati nahin hai