zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai yani us ki har haqiqat ek afsana bhi hai tum jise jaisa bana dete ho ban jata hai wo fitratan har aadmi aaqil bhi diwana bhi hai ranj hi akasr hua karta hai rahat ka nishan jis jagah tum dam dekhoge wahan dana bhi hai wa-e-qismat ek hamin mahrum is fan se rahe apne matlab ke liye hushyar diwana bhi hai waqat-e-mai-khana bhi apni jagah kuchh kam nahin qabil-e-tazim go kaba bhi but-khana bhi hai dil ki fitrat ishq-o-ulfat hi main ai 'sahir' khuli ye wo kafir hai ki apna ho ke begana bhi hai