idrak hi muhaal hai khwab-o-khayal ka dil ke waraq pe aks hai us ke jamal ka roti nahin hun main kabhi duniya ke samne rakhti hun hausla main nihayat kamal ka hain marhale ajib ye ishq-o-khirad ke bhi lamhon mein kar rahi hun safar mah-o-sal ka darwesh hai koi to qalandar wali koi bandon ne paya ishq mein rutba kamal ka itne sukun se main ne kiya ishq ka safar aaya nahin guman kisi ehtimal ka kaisa ajib daur hai maujuda daur bhi mafhum koi samjhe na dil ke sawal ka dam ghut raha ho jab mera apne wajud mein kya khak tazkira ho firaq-o-visal ka karti nahin 'sabila' gila main ye soch kar sathi nahin yahan koi ranj-o-malal ka