ijazat de ki apni dastan-e-gham bayan kar len tere ehsas aur apni zaban ka imtihan kar len hayat-e-jawedan bhi ishq mein barbaad kar lenge mata-e-hasti-e-fani to pahle raegan kar len ye sazish kar rahe hain chand tinke aashiyane ke ki bijli ko kisi surat asir-e-ashiyan kar len shab-e-gham ai tasawwur un ko majbur-e-tabassum kar murattab is ujale mein hum apni dastan kar len thikana ho kahan 'simab' phir naz-afrini ka agar hum apne dil ko be-niyaz-e-do-jahan kar len