mere ehsas ki rag rag mein samane wale ab kahan hain mujhe din-raat satane wale dekh lete hain magar aankh chura jate hain dost har waqt mujhe pas bithane wale band pani ki tarah bekas-o-majbur hain ab tund maujon ki tarah shor machane wale ek patthar bhi sar-e-rahguzar rakkha hai raat gahri hai zara dhyan se jaane wale kaun bujhte hue suraj ki taraf dekhega hain ujalon ke talabgar zamane wale haar ke baith gae dhup ki aaghosh mein khud sard raaton mein mera jism jalane wale gir gae ret ki diwar ho jaise 'shahid' ban ke kohsar meri rah mein aane wale