ik-duje ke basi un ko aur basera kya malum apne-pan ke bashindon ko mera tera kya malum suraj bole to so jaen suraj bole to jagen kya jaanen ye diya jalana un ko andhera kya malum khwab ka jhut jiwan sach mein til til marna jin ka bhag ye raaton ke qaidi un ko sanjh sawera kya malum basti se bahar sanpon ne bhi to kuchh phunka hoga aadhi rah se lauta ho mehman sapera kya malum bandhi thin aashaen kya kya hum ne ab ke mausam se 'rahmani' ab kaun si rut mein phule bahira kya malum