un ki nigah-e-naz ke qabil kahen jise wo jins-e-mo'atabar ho ata dil kahen jise shab-khana-e-hayat ki raunaq hai aaj tak wo raushni farogh gham-e-dil kahen jise kya dhundte ho rah-raw-e-sarmaya-e-sukun madum hai wo naqsh hi manzil kahen jise ai iztirab-e-mauj-o-talatum tere siwa wajh-e-sukun wo kaun hai sahil kahen jise diwangi-e-ahl-e-junun par na jaiye shaista-e-yaqin hai wo ghafil kahen jise mearaj jis ko kahte hain sahra-e-ishq ki wo hai bagula aaj bhi mahmil kahen jise ghunchon pe kya guzar gai sun kar ye kya khabar wo lai kharosh-e-qalb-e-anadil kahen jise mamnun-e-iltifat bhi aksar hua hun main us chashm-e-nim-baz ka qatil kahen jise milta kahan hai ai 'raza' be-shorish-e-junun aisa sukut garmi-e-mahfil kahen jise