ilahi kash gham-e-ishq kaam kar jae jo kal guzarni hai mujh par abhi guzar jae tamam umr rahe hum to khair kanton mein khuda kare tera daman gulon se bhar jae zamana ahl-e-khirad se to ho chuka mayus ajab nahin koi diwana kaam kar jae hamara hashr to jo kuchh hua hua lekin dua ye hai ki teri aaqibat sanwar jae nigah-e-shauq wahi hai nigah-e-shauq 'shamim' jo ek bar rukh-e-yar par thahar jae