milta nahin koi bhi kharidar ishq mein ruswa hue hain bar-sar-e-bazar ishq mein manzil mili na mahala-e-dil hi tai hua dasht-e-junun ko jaaniye diwar-e-ishq mein us nafa-e-nigah se pagal hue to kya zanjir hai ye dard ka aazad ishq mein ab tak tere khayal se namnak hai ye aankh sarf is qadar hua hun gunahgar ishq mein fariyaad kar raha hun judai ke dasht mein koi nahin sharik-e-gham-e-yar ishq mein main kunj-e-afiyat mein raha umr-bhar magar khud se hua hun bar-sar-e-paikar ishq mein hath aa gai kalid-e-tilism-e-nigah kya khulne lage hain husn ke asrar-e-ishq mein hairaniyon ke zakhm ka marham kahan 'nadim' dil sehr-e-dard se hua bedar ishq mein