ilahi khair ho wo aaj kyun kar tan ke baithe hain kisi ke qatl karne ko bhabhuka ban ke baithe hain subuk-sar hai wahi jo dusron ke ghar pe jata hai jo apne ghar mein baithe hain wo lakhon man ke baithe hain ghazab hai qahr hai shamat hai aafat hai qayamat hai baghal mein wo adu ke aaj kyun ban-than ke baithe hain kahen kya muddaa apna sunaen raaz-e-dil kyun kar hamare samne kuchh aadmi dushman ke baithe hain maza kunj-e-lahad mein kyun na lun main saghar-e-mul ka ki baada-khwar pas aa kar mere madfan ke baithe hain khuda ke waste un ko nikal kar jalwa dikhla do ki khwahish-mand kuche mein tere chitwan ke baithe hain hain pyase hum to muddat ke pila de jam-e-mai saqi wo jab chahen piyen jo muntazir sawan ke baithe hain tabiat ho to aisi ho jo aadat ho to aisi ho abhi wo tan ke baithe the abhi wo man ke baithe hain agar raghbat na ho is dahr mein muzi ko muzi se to kyun khar-e-mughilan panw mein rahzan ke baithe hain nahin malum kis ko tadte hain kis se wada hai ba-waqt-e-sham pas aa kar jo wo chilman ke baithe hain nahin parwa agar ai 'mashriqi' un ko bala jaane agar wo hain khinche baithe to hum bhi tan ke baithe hain