teri nigah ne apna bana ke chhoD diya

teri nigah ne apna bana ke chhod diya
hansa ke pas bulaya rula ke chhod diya

hasin jalwon mein gum ho gai nazar meri
ye kya kiya ki jo parda utha ke chhod diya

junun mein ab mujhe apni khabar na ghairon ki
ye gham ne kaun si manzil pe la ke chhod diya

jo marifat ke gulabi nashe se ho bhar-pur
wo jam tu ne nazar se pila ke chhod diya

kisi ne aaj zamane ke khauf se 'shewan'
hamara nam bhi honton pe la ke chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close