ilahi tauba duniya mein ye kaisa inqalab aaya

ilahi tauba duniya mein ye kaisa inqalab aaya
yahan koi nahin apna azizon ka jawab aaya

mere nazzara-e-pur-shauq ki takmil kya hoti
idhar palkon ne jumbish ki udhar rukh par naqab aaya

usi ki did ki khatir rahi hain muntazir aankhen
jo fitna-gar rukh-e-pur-nur par dale naqab aaya

khamoshi hi faqat hai dastan apni dil-e-muztar
fareb-e-zindagi khaya alam bhi be-hisab aaya

wo izhaar-e-mohabbat par mere ghabra ke yun bole
falak ne kya sitam dhaya khudaya kya azab aaya

jalan se ghair ke chehre ki rangat ud gai 'nashtar'
abhi khali hamare hath mein jam-e-sharab aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close