qatl amir-e-shahr ka ladla beta kar gaya jurm magar gharib ke lakht-e-jigar ke sar gaya subh se sham ho gai waqt ki dhup-chhanw mein lamha-ba-lamha umr ka sara safar guzar gaya kaisa wo hoga sang-e-gham sahm ke jis ke khauf se aaina chhut ke farsh par chaaron taraf bikhar gaya lakh gharib hun magar phir bhi hun ek aadmi kaise mere zamir ka aaj wo mol kar gaya amn-o-sukun ke ganw mein mast-magan tha main magar kaun meri hayat ko khana-ba-dosh kar gaya aap ki qadr-o-manzilat dekh shab-e-uruj mein waqt bhi ehtiram mein chal na saka thahar gaya meri rida ki fikr kya tan ki qaba ki fikr kiya aaj tumhaare shahr se 'shaariq'-e-dida-war gaya