iltija hai ijz-o-usrat kun-fakani aur hai guftugu-e-be-samar mojiz-bayani aur hai qarya-e-momin pe hamla kar to pahle soch le ye ilaqa mukhtalif ye rajdhani aur hai har adalat likh chuki hai faisla to kya hua faisla baqi abhi ek aasmani aur hai kuchh na kah kar bhi sadaqat bap ki manwa gae asghar-e-be-shir teri be-zabani aur hai ek misra kah ke 'abid' khud ko na shaer samajh shusta ghazlen hain kuja aur lan-tarani aur hai