zard mausam ki hawaon mein khada hun main bhi aur is soch mein gum hun ki hara hun main bhi sun ke har shakhs kuchh is tarah guzar jata hai jaise girte hue patton ki sada hun main bhi meri aawaz-e-shikasta ki sataish na karo apni aawaz ki lahron mein chhupa hun main bhi tujh ko takhliq kiya main ne ki mujh ko tu ne kaun khaliq hai yahi soch raha hun main bhi wo jo tufan-e-khudi le ke bada hai 'abid' us ko malum nahin koh-e-ana hun main bhi