iman ke bharose par dariya mein utar jaana tu bahr-e-hawadis se yak-lakht ubhar jaana jis rah pe phaila ho nafrat ka andhera tum ulfat ki ziya le kar us rah se guzar jaana ghar mere chale aae wo khud hi achanak se kahte hain isi ko to qismat ka sanwar jaana shair mein nahin lekin sohbat ka asar hai ye jab sher hua koi faizan-e-nazar jaana maikhane se pi kar bhi lauta hai saliqe se malum tha us ko ab jaana hai to ghar jaana hum sach ko kahenge sach fitrat ye hamari hai zalim se hamein hargiz aata nahin dar jaana abba ki nasihat par karta hun amal har dam us ek amal se hi sikha hai nikhar jaana masruf agar ho tum be-kar nahin main bhi is gham se to behtar hai aawara hi mar jaana barsat ka khadsha hai bijli na kahin gir jae jate ho kahan 'ahmad' kuchh der thahar jaana