jo le ke hath mein apne tabar bhi aata hai har ek zulm ko wo raund kar bhi aata hai tamam din jo bhatakta hai dasht-o-sahra mein suna hai sham ko wo baam par bhi aata hai wo ek rind jo rota hai teri chahat mein usi ki aankh mein khun-e-jigar bhi aata hai main us faqir se rakhta hun silsila apna jahan bade se bada tajwar bhi aata hai akele mujh ko kahin jaane wo nahin deta jahan main jaun wahan ham-safar bhi aata hai ye sukha ped nishani hai ek qudrat ki khuda ke hukm se is mein samar bhi aata hai shikan si aati hai 'ahmad' kabhi jo mathe par main aise rota hun chehra nikhar bhi aata hai