iman ki numaish hai sajde hain ki afsane hain chand jabinon par aur zehn mein but-khane kuchh aql ke matwale kuchh ishq ke diwane parwaz kahan tak hai kis ki ye khuda jaane kam-zarf ki niyyat kya pighla hua loha hai bhar bhar ke chhalakte hain akasr yahi paimane ab rang ke naslon ke but tut chuke saqi ab kyun diye jate hain pahchan ke paimane tamhid-e-qayamat hai ek raat ka hangama ehsas ki shamen hain jazbaat ke parwane saqi ke saliqe par husn-e-do-jahan sadqe sayyaron ki gardish hai ya daur mein paimane ye ek ladi ke sab chhitke hue moti hain kabe hi ki shakhen hain bikhre hue but-khane kuchh tishna-lab ai saqi khuddar bhi hote hain ud jaegi mai rakkhe rah jaenge paimane ek kafir-e-mutlaq hai zulmat ki jawani bhi be-rahm andhera hai shamen hain na parwane tarikh waraq apna ultegi 'siraj' ek din aafaq mein phir zinda honge mere afsane