khule jo aah mein bab-e-asar na pahchane khushi ka rang gham-e-mo'tabar na pahchane ude jo chil to dekhe lahu ki jhil mein aks shafaq dhale to sharik-e-safar na pahchane ugen jo phul to dharti bhali bhali si lage zamin ka dard-e-tasawwur magar na pahchane hawas ki zist kare rail ke safar ki tarah safar ke baad sharik-e-safar na pahchane tamam-raat ka jalta hua diya na bujhe shab-e-firaq nawed-e-sahar na pahchane nigah jati to hai ruk na jaiyo us pas palat bhi aaiyo jo wo nazar na pahchane