iman-nawaz gardish-e-paimana ho gai hum se bhi ek laghzish-e-mastana ho gai koi to baat shama ke jalne mein thi zarur jis par nisar hasti-e-parwana ho gai sad-shukr aaj ho to gai un se guftugu ye aur baat hai ki harifana ho gai allah re ashk-bari-e-sham-e-shab-e-firaq jo subh hote hote ek afsana ho gai 'hairat' ke gham-kade mein khushi ka guzar kahan aap aa gae to raunaq-e-kashana ho gai