imarat ka koi nashsha nahin tha ana ke ghar se jab nikla nahin tha mujhe to yaad hi aata nahin hai koi lamha ki jab tadpa nahin tha main sab ke waste achchha tha lekin usi ke waste achchha nahin tha magar tashbih us ko kis se dete abhi to chand bhi nikla nahin tha ajab ayyam-e-shauq-e-did guzre kabhi raaton ko main sota nahin tha hamare khwab mein sae kai the kisi ke dosh par chehra nahin tha khuli jo aankh to dekha ye main ne abhi to hashr hi barpa nahin tha