husn ke zer-e-bar ho ki na ho ab ye dil be-qarar ho ki na ho marg-e-amboh dekh aate hain aankh phir ashk-bar ho ki na ho karb-e-paiham se ho gaya patthar ab ye sina figar ho ki na ho phir yahi rut ho ain mumkin hai par tera intizar ho ki na ho shakh-e-zaitun ke amin hain hum shahr mein intishaar ho ki na ho sher mere sambhaal kar rakhna ab ghazal mushk-bar ho ki na ho