imroz ki kashti ko dubone ke liye hun kal aur kisi rang mein hone ke liye hun tu bhi hai faqat apni shahadat ka talabgar main bhi to isi dard mein rone ke liye hun jine ka taqaza mujhe marne nahin deta mar kar bhi samajhta hun ki hone ke liye hun hathon mein mere chand bhi lagta hai khilauna khwabon mein falak rang samone ke liye hun har bar ye shishe ka badan tut gaya hai har bar nae ek khilaune ke liye hun pardes ki raaton mein bahut jag chuka main ab ghar ka sukun odh ke sone ke liye hun sine mein koi zakhm ki khulne ke liye hai aaankhon mein koi ashk ki rone ke liye hun sada si koi baat nahin bhuk shikam ki iman bhi roti mein samone ke liye hun wo dasht-o-bayaban mein izhaar ka khwahan main apne chaman-zar mein rone ke liye hun ghaaron ka safar hai ki mukammal nahin hota main apni khabar aap hi dhone ke liye hun suraj ko nikalne mein zara der hai 'ahmad' phir zat ka har rang main khone ke liye hun