imtihan hum ne diye is dar-e-fani mein bahut ranj khinche hum ne apni la-makani mein bahut wo nahin us sa to hai khwab-e-bahaar-e-jawedan asl ki khushbu udi hai us ke sani mein bahut raat din ke aane jaane mein ye sona jagna fikr walon ko pate hain is nishani mein bahut koyalen kukin bahut diwar-e-gulshan ki taraf chand damka hauz ke shaffaf pani mein bahut us ko kya yaaden thin kya aur kis jagah par rah gain tez hai dariya-e-dil apni rawani mein bahut aaj us mahfil mein tujh ko bolte dekha 'munir' to ki jo mashhur tha yun be-zabani mein bahut