ujad ujad ke sanwarti hai tere hijr ki sham na puchh kaise guzarti hai tere hijr ki sham ye barg barg udasi bikhar rahi hai meri ki shakh shakh utarti hai tere hijr ki sham ujad ghar mein koi chand kab utarta hai sawal mujh se ye karti hai tere hijr ki sham mere safar mein ek aisa bhi mod aata hai jab apne aap se darti hai tere hijr ki sham bahut aziz hain dil ko ye zakhm zakhm ruten inhi ruton mein nikharti hai tere hijr ki sham ye mera dil ye sarasar nigar-khana-e-gham sada isi mein utarti hai tere hijr ki sham jahan jahan bhi milen teri qurbaton ke nishan wahan wahan se ubharti hai tere hijr ki sham ye hadisa tujhe shayad udas kar dega ki mere sath hi marti hai tere hijr ki sham