in aankhon mein kai sapne kai arman the lekin sukut-e-lab ki tah mein kis qadar tufan the lekin aqidat kab thi isnad-e-shuur-e-fahm ki qail hujum-e-shahr ka kuchh parsa iman the lekin rasai manzil-e-maqsud tak mumkin si lagti thi ba-zahir aagahi ke marhale aasan the lekin laga kar un ko dil se main safar karta raha barson wo kuchh lamhe jo mere hauslon ki jaan the lekin agarche kuchh nigahen tir barsati rahin paiham agarche kuchh rawayye bais-e-nuqsan the lekin qalam un par uthana chahta tha main ba-har-surat mere chaaron taraf bikhre hue unwan the lekin umur-e-saltanat takrar-e-adab-e-shahanshahi murassa khwab-gahen masnaden dalan the lekin ye tahriren ye taswiren ye sab qisse ye sab chehre mere guzre hue ayyam ki pahchan the lekin kabhi hum dar-ba-dar bhi man ki aqlim-e-mohabbat ke sarir-arai mutlaq bakht-war sultan the lekin