ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho phir koi rauzan-e-diwar se jhanka dekho un ke milne ki tamanna mein mita jata hun nai duniya hai mere shauq ki duniya dekho tur par hi nahin nazzara-e-jaanan mauquf dekhna ho to wo maujud hai har ja dekho asar-e-nala-e-ashiq nahin dekha tum ne tham lo dil ko sambhal baitho ab achchha dekho taur majnun ki nigahon ke batate hain hamein isi laila mein hai ek dusri laila dekho partaw-e-mahr se mamur hai zarra zarra lahren leta hai har ek qatre mein dariya dekho dur ho jaen jo aankhon se hijabaat-e-dui phir to dil hi mein do-alam ka tamasha dekho sab mein dhunda unhen aur ki to na ki dil mein talash nazar-e-shauq kahan khai hai dhoka dekho nahin thamte nahin thamte mere aansu 'bedam' raaz-e-dil un pe hua jata hai ifsha dekho