in aankhon se yun rah-e-sukhan wa nahin karte khamosh raha karte hain bola nahin karte andesha-e-tufan-e-bala-khez bahut hai is waste hum qatre ko dariya nahin karte parwa nahin kuchh un ko hamari to hamein kya rukh un ki taraf hum bhi ziyaada nahin karte gharqabi ka itna hi agar dar hai to ye log kyon sahil-e-dariya se kinara nahin karte bas qatra-e-khun se ubhar aate hain kai rang hum sine pe khud bagh lagaya nahin karte