khabar sunte to hain us sang-dil ke dil mein aane ki khuda malum kya surat bane aaina-khane ki na jaane khak ho jaane ki lazzat kab mayassar ho abhi to ek muddat se hai khidmat khak udane ki zamin-o-asman kuchh hon to ho pasti bulandi bhi yahan to roz kaifiyyat badalti hai zamane ki sahaara ishq-e-zor-awar ne khud hi de diya warna kahan hum aur kahan taqat ye koh-e-gham uthane ki fana-ahang shayad saz-e-hasti se baramad ho ki aati hai sada tar-e-nafas se jhanjhanane ki