in andheron se pare is shab-e-gham se aage ek nai subh bhi hai sham-e-alam se aage dasht mein kis se karen aabla-pai ka gila rahnuma koi nahin naqsh-e-qadam se aage saz mein khoe rahe soz na samjha koi dard ki tis thi pazeb ki chham se aage ai khosha azm-e-jawan zauq-e-safar josh-e-talab hadse badh na sake apne qadam se aage yaad hai lazzat-e-azar-e-mohabbat ab tak dil ko milta tha sukun mashq-e-sitam se aage surkh-ru hai jahan tarikh-e-do-alam 'ishrat' khun tapka hai wahin nok-e-qalam se aage