khela bachpan jhuma ladakpan lahki jawani chaubaron mein lathi thame dekha budhapa nagri ke galiyaron mein nirt pe jhumen bhaw pe lahken madira pi kar bahken log kaun sune jo chikhen dabi hain pael ki jhankaron mein bhule-bisre sapne khojen byakul nainan bekal hirdai chandr kiran si muskati thi dahke hue angaron mein nil-gagan par jis ka singhasan wo hai jag ka palanhaar pagal khud ko data samjhe sapnon ke sansaron mein wo chandr-kiran wo rup-mati wo meri kawita meri ghazal mele mein kuchh aise bichhdi dub gai andhiyaron mein chhalki chhalki aankhen chhupae honton par muskan sajae tum jaisa dukhiyara na dekha 'ishrat' ji dukhiyaron mein