in ashkon ko pani kahna bhul nahin nadani hai tan-man mein jo aag laga de ye to aisa pani hai hijr ki ghadiyan dekh chuke hain maut ka hum ko khauf nahin ye surat to dekhi-bhaali hai jaani-pahchani hai kaise tum se ishq hua tha kya kya hum par bit rahi hai sun lo to sachcha afsana warna ek kahani hai muflis bandon par mat hansna dhan-daulat ke pahredaro ye duniya hai is duniya ki har shai aani-jaani hai shaikh-o-barahman zahid-o-waiz budhe-khusat kya jaanen bhul bhi ho jati hai is mein is ka nam jawani hai