in bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe fakhtaon ke liye koi to ghar baqi rahe ek tara ek dipak ek jugnu hi sahi raat ki diwar mein koi to dar baqi rahe chand ki kashti tah-e-dariya hui thi jis jagah kuchh nishan baqi rahe koi bhanwar baqi rahe jaane wale ko kabhi bhi laut kar aana nahin laut aane ki bahar-surat khabar baqi rahe sard mausam mein utha kar hath ye mangen dua tan mein jaan baqi rahe jaan mein sharar baqi rahe rah mein thak kar kahin par baith mat jaana 'shafiq' ghar ki jaanib wapsi ka ek safar baqi rahe