tamiz-e-pisar-e-zamin wa ibn-e-falak na karna tum aadmi ho to aadmi ki hatak na karna ye jama-o-tafriq zarb-o-taqsim ki sadi hai aqida thahra adad ki mantiq pe shak na karna pas-e-kharabaat-e-band jari hai mai-gusari sikhaya jam-o-subu ko hum ne khanak na karna chhalawe ban jaen aage ja kar yahi ghazalan taaqub in mah-washon ka tum dur tak na karna ye gham ke mani tujhe lage hai sarab-e-mani akele sahna use gham-e-mushtarak na karna