in chatakhte pattharon par panw dharna dhyan se dhal chuki hai sham wadi mein utarna dhyan se jamid-o-sakit sahi diwar-o-dar bahre nahin ghar ki tanhai ho phir bhi baat karna dhyan se kan mat dharna kisi aawaz par kaisi bhi ho koi roke bhi to raste mein thaharna dhyan se dekhna saya kahin koi taaqub mein na ho shahr ki viran galiyon se guzarna dhyan se rah mein dekho koi manzar to rakhna zehn mein phir kahin fursat mile to rang bharna dhyan se kitne suraj tum se pahle is safar mein jal-bujhe is jahan-e-tira-khatir par ubharna dhyan se waqt ke sath apne andaze ghalat nikle 'bashir' kis qadar mushkil hai pyaron ka utarna dhyan se