bewafa ke wade par eatibar karte hain wo na aaega phir bhi intizar karte hain log ab mohabbat mein karobar karte hain dil bacha ke rakhte hain jaan shikar karte hain ishraten jahan-bhar ki bas unhin ka hissa hai jo rawish zamane ki ikhtiyar karte hain shakhsiyat mein jhanken to aur hi tamasha hai baaten jo nasihat ki be-shumar karte hain apne dam-qadam se to dasht bhi gulistan hai hum jo kharzaron ko lala-zar karte hain jaan se guzarte hain be-khudi mein ahl-e-dil wo jo chashm-e-pur-fan ko zulfiqar karte hain hon shagufe shakhon ke ya lawen charaghon ki sab hawa ke daman par inhisar karte hain hum kahan ke dana hain kis hunar mein yakta hain log phir bhi jaane kyun hum se pyar karte hain jis jagah pe khadsha ho pair ke phisalne ka hum qadam wahin 'ejaz' ustuwar karte hain