in dar-o-diwar ki aankhon se paTTi khol kar

in dar-o-diwar ki aankhon se patti khol kar
dubte suraj ka manzar dekh khidki khol kar

ashk aankhon mein agar kuchh hain to kar shab ka safar
raste mein aasman baitha hai jholi khol kar

aur kuchh taza lakiren shakl ke khake pe hain
dekh apne hath ka aaina mutthi khol kar

paikar-e-mafhum ban kar bhi kabhi pahlu mein aa
lafz dete hain sada bab-e-maani khol kar

sath-e-dariya par bhadak uthi hai phir maujon ki aag
kaun is tufan mein utrega kashti khol kar

le ude tair qafas ki tiliyan parwaz mein
ab gale mein dal de pairon se rassi khol kar

badh gai kuchh aur pyasi ketiyon ki tishnagi
abr chhaya tha magar barsa nahin ji khol kar

ho gae aabaad mere jism ke diwar-o-dar
kaun ghar mein aa gaya darwaza khud hi khol kar

dhup mein sukhe hue patte hawa dene lage
band lab goya hue qufl-e-khamoshi khol kar

kya ajab 'shahid' ki meri dastan is mein bhi ho
jo kitab ek bar bhi main ne na dekhi khol kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close