suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi main ne ki be-khudi mein guzari hai zindagi main ne bitai maut ke sae mein zindagi apni bina hi zahr ke kar li hai khud-kushi main ne nadi ho tal samundar ya dasht ho koi sabhi ke lab pe hi dekhi hai tishnagi main ne kabhi to mera kaha man zindagi meri teri khushi mein hi pai hai har khushi main ne kabhi hai sard kabhi garm se libason mein hawa ko di hai kai bar odhni main ne tere liye to zamin aasman ek kiye kahan kahan na talasha tujhe khushi main ne udhedta hi raha tu yaqin ki chadar tamam umr rafu ki silai ki main ne tumhaari yaad ke paude laga ke is dil mein faza-e-dil mein bhi khushbu si ghol di main ne gulab ki kali 'sima' nikhar gai jab jab tumhaare ishq ki shabnam ki bund pi main ne