in sabhi daraKHton ko aandhiyon ne ghera hai

in sabhi darakhton ko aandhiyon ne ghera hai
jin ki sabz shakhon par panchhiyon ka dera hai

aaj ke zamane mein kis ko rahnuma samjhen
ab to har qabile ka rahbar lutera hai

sau diye jalae hain doston ke aangan mein
phir bhi mere aangan mein har taraf andhera hai

tujh ko kuchh khabar bhi hai mere dil ki shahzadi
mere dil ke goshe mein bas khayal tera hai

tere hijr mein meri dekh bujh gain aankhen
kuchh nazar nahin aata har taraf andhera hai

zulm sah ke bhi main ne hont si liye 'ghazi'
ek zarf un ka hai ek zarf mera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close